Saturday, March 17, 2012

Hindustani Poems


Friday, February 24, 2012


asghar gondvi

Asraar-E-Ishq Hai Dil-E-Muztar Liye Huwe
Qatra Hai Beqaraar Samandar Liye Huwe

Kya Mastiyaan Chaman Main Hain Josh-E-Bahaar Se
Har Shaakh-E-Gul Hai Haath Mein Saaghar Liye Huwe

Pehli Nazar Bhi Aap Ki Uf Kis Balaa Ki Thhi
Hum Aaj Tak Woh Chot Hain Dil Par Liye Huwe

Tasveer Hai Khinchi Hui Naaz-O-Niyaaz Ki
Main Sar Jhukaaye Aur Woh Khanjar Liye Huwe

Main Kya Kahun, Kahaan Hai Muhabbat, Kahaan Nahin
Rag Rag Mein Daudi Phirti Hai Nashtar Liye Huwe

Asghar Hareem-E-Ishq Mein Hasti Hi Jurm Hai
Rakhna Kabhi Na Paaon Yahaan Sar Liye Huwe

miscellaneous

Hai kahan tamanna ka doosra qadam Yarab
Hum Nai dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paya - ghalib

Aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

"ghalib" bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise

surme ka khaal mushafe ariz pe kis liye
nuqta barha rahe ho khuda ki kitaab main - qamar jalalvi

ishq insaan ko diwana bana deta hai
apne mahol se begana bana deta hai
husn anware ilahi ka majazi paikar
jaam kausar ka nazron se pila deta hai - marghoob

hamne ajab majra dekha
chote logon ka dil bara dekha
dast-e qatil ki sangdili dekhi
marne walon ka hausla dekha - marghoob

Monday, June 21, 2010


Iqbal and Khudi

ki Haqq se farishton ne Iqbal ki ghammaazi
gustaakh hai karta hai fitrat ki hinabandi

khaki hai magar iske andaaz hai aflaki
roomi hai na shaami hai kaashi na samarkandi

sikhlaayi farishton ko aadam ki tarap isne
aadam ko sikhaata hai aadaab-e-Khuda'wandi

khudi ki jalwaton mein kibriya, khudi ki khalwaton mein mustafai
zameen o aasaman o arsh o kursi, khudi ki zadd mein hai sari khudai (1)

The angels began to speak behind Iqbal
'This creation of clay is of heavenly nature

Rumi it is not, not is it Shami,
Kashi(Benaras) it isn't; nor Samarkandi;

It taught the Angels the torture of Adam,
It brought Adam to worship the Divine (2)

Selfhood in the world of men is prophethood; Selfhood in solitude is godliness;
The earth, the heavens, the great empyrean, Are all within the range of Selfhood's power. (3)

__________________________________________

Khudi ka sirr-e-nihaaN La ilaha il Allah
khudi hai tegh-e-fasaaN La ilaha il Allah

The secret of the Self is hid, In words "No god but He alone".
The Self is just a dull-edged sword, "No god but He," the grinding stone.


Yeh daur apne 'Braaheem ki talaash mein hai
Sanam-kadah hai jahaaN La ilaha il Allah

An Abraham by the age is sought To break the idols of this Hall:
The avowal of God's Oneness can Make all these idols headlong fall.


Kiya hai tu ne mataa'-e-gharoor ka sauda
fareb-e-sood-o-ziyaaN ! La ilaha il Allah

A bargain you have struck for goods Of life, a step, that smacks conceit,
All save the Call "No god but He" Is merely fraught with fraud and deceit.


Yeh maal o dawlat-e-dunya, yeh ristha o paivand
butaan-e-vehm-o-gumaaN! La ilaha il Allah

The worldly wealth and riches too, Ties of blood and friends a dream
The idols wrought by doubts untrue, All save God's Oneness empty seem.


Khird huwee hai zamaan o makaan ki zunaari
na hai zamaaN, na makaaN! La ilaha il Allah

The mind has worn the holy thread Of Time and Space like pagans all
Though Time and Space both illusive "No god but He" is true withal.


Yeh naghma fasl-e-gul o laaleh ka nahin paband
bahaar ho ke khizaaN, La ilaha il Allah

These melodious songs are not confined To Time when rose and tulip bloom
Whatever the season of year be "No god but He" must ring till doom.


Agarche but hain jama'at ki aasteenoN mein
mujhe hai hukm-e-azaaN, La ilaha il Allah

Many idols are still concealed' In their sleeves by the Faithful Fold,
I am ordained by Mighty God To raise the call and be much bold.

Friday, April 16, 2010


Kab Mera Nasheman

Kab mera nasheman ahl e chaman gulshan main gawara kartay hain
Ghunchay apni awazoon main bijli ko pukara kartay hain

Ponch na arq rukhsaroon say rangin e husn ko barhnay doo
Suntay hain k shabnam kay qatray pholoon ko sanwara kartay hain

Ab nazah ka aalam hai mujh per tum apni mohabbat wapis lo
Jub kashti doobnay lagti hai tou bojh utara kartay hain

Jati hoi maiyat dekh kar bhi Wallah tum uth kar aa na sakay
Doo chal qadam tou dushman bhi takleef gawara kartay ahin

Taroon ki baharoon mein bhi Qamar tum afsurda say rehtay ho
Phoolon ko dekho kanton main hans hans kar guzara kartay hain

Thursday, November 19, 2009


Mir Anis (marsiya)

Hussain jab ke chaley baad'e do_pahar runn ko
Na tha koi ke jo thaamey rakaab'e tausan ko
Sakeena jhaaRh rahi theeN aba ke daaman ko
Hussain chupkey khaRey thEy jhukaaey gardan ko
Faqat bahen ne kiya tha sawaar bhaai ko

Vinod Tiwari

चश्म-ए-पुरनम बही, बही ना बही
ज़िन्दगी है, रही, रही ना रही
तुम तो कह लो जो तुमको कहना था
मेरा क्या है, कही, कही ना कही

Tuesday, February 17, 2009


Hasrat Mohani

Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam

hairat guruur-e-husn se shokhi se izteraab
dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam

Allah re husn-e-yaar ki khuubi ke khud_ba_khud
rangeeniyon mein duub gaya pairahan tamaam

dekho tu husn-e-yaar ki jadoo nigahiyaan
behosh ik nazar mein huee anjuman tamaam

By: Hasrat Mohani

No comments:

Post a Comment

http://www.youtube.com/user/191shadan